chaman ujaDne walo tumhein KHuda samjhe
tumhein na aai haya phul to hamare gae
Azim Haidar Syed
dene wale tu mujhe nind na de KHwab to de
mujh ko mahtab se aage bhi kahin jaana hai
Azim Haidar Syed
KHayal aata hai akasr utar phenkun badan
ki ye libas meri KHak se ziyaada hai
Azim Haidar Syed
kis liye KHud ko samajhta hai wo patthar ki lakir
us ka inkar bhi iqrar mein aa sakta hai
Azim Haidar Syed
libas dekh ke itna hamein gharib na jaan
hamara gham teri imlak se ziyaada hai
Azim Haidar Syed
sar pe suraj hai to phir chhanw se mahzuz na ho
dhup ka rang bhi diwar mein aa sakta hai
Azim Haidar Syed