chaarasazo mera ilaj karo
aaj kuchh dard mein kami si hai
Azhar Nawaz
jo mera jhuT hai akasr mere andar nikalta hai
jise kam-tar samajhta hun wahi behtar nikalta hai
Azhar Nawaz
KHubsurat hai sirf bahar se
ye imarat bhi aadmi si hai
Azhar Nawaz
kisi buzdil ki surat ghar se ye bahar nikalta hai
mera ghussa kisi kamzor ke upar nikalta hai
Azhar Nawaz
koi kirdar ada karta hai qimat is ki
jab kahani ko naya moD diya jata hai
Azhar Nawaz
mohtaram kah ke mujhe us ne pasheman kiya
koi pahlu na mila jab meri ruswai ka
Azhar Nawaz
mujh ko har samt le ke jata hai
ek imkan tere hone ka
Azhar Nawaz