aansuon ki tarah wajud mera
bahta jata hai aabshaar ke sath
Azhar Abbas
akela main hi nahin ja raha hun basti se
ye raushni bhi mere sath jaane wali hai
Azhar Abbas
apne virane ka nuqsan nahin chahta main
yani ab dusra insan nahin chahta main
Azhar Abbas
hansi mazaq ki baaten yahin pe KHatm huin
ab is ke baad kahani rulane wali hai
Azhar Abbas
hath patthar se ho gae manus
shauq kuza-gari ka kya kije
Azhar Abbas
jo rukawaT thi hamari rah ki
rasta nikla usi diwar se
Azhar Abbas
mujhe bayan kar raha tha koi shaKHs
main apni dastan DhunDhta raha
Azhar Abbas
suna raha hai kahani hamein makinon ki
makan ke sath ye aadha jala hua bista
Azhar Abbas
tu kahani ke badalte hue manzar ko samajh
KHun rote hue kirdar ki jaanib mat dekh
Azhar Abbas