aae hain log raat ki dahliz phand kar
un ke liye nawed-e-sahar honi chahiye
Ata ul Haq Qasmi
dilon se KHauf nikalta nahin azabon ka
zamin ne oDh liye sar par aasman phir se
Ata ul Haq Qasmi
gum hua jata hai koi manzilon ki gard mein
zindagi bhar ki masafat raegan hone ko hai
Ata ul Haq Qasmi
jis ki KHatir main bhula baiTha tha apne aap ko
ab usi ke bhul jaane ka hunar bhi dekhna
Ata ul Haq Qasmi
lagta nahin ki us se marasim bahaal hon
main kya karun ki thoDa sa pagal to main bhi hun
Ata ul Haq Qasmi
use ab bhul jaane ka irada kar liya hai
bharosa ghaaliban KHud par ziyaada kar liya hai
Ata ul Haq Qasmi
wo ek shaKHs ki manzil bhi rasta bhi hai
wahi dua bhi wahi hasil-e-dua bhi hai
Ata ul Haq Qasmi
ye kis azab mein us ne phansa diya mujh ko
ki us ka dhyan koi kaam karne deta nahin
Ata ul Haq Qasmi