aaj bhi 'prem' ke aur 'krishn' ke afsane hain
aaj bhi waqt ki jamhuri zaban hai urdu
Ata Abidi
adab hi zindagi mein jab na aaya
adab mein itni mehnat kis liye hai
Ata Abidi
KHwab hi KHwab ki tabir hua to jaana
zindagi kyun kisi aankhon ke asar mein aai
Ata Abidi
kisi ke jism-o-jaan chhalni kisi ke baal-o-par TuTe
jali shaKHon pe yun laTke kabutar dekh aaya hun
Ata Abidi
koi bhi KHush nahin hai is KHabar se
ki duniya jald lauTegi safar se
Ata Abidi
sab KHwab purane hain har chand fasane hain
hum roz basate hain aankhon mein nai duniya
Ata Abidi
sabr ki had bhi to kuchh hoti hai
kitna palkon pe sambhaalun pani
Ata Abidi
zarurat Dhal gai rishte mein warna
yahan koi kisi ka apna kab hai
Ata Abidi