hum bhi 'aslam' isi guman mein hain
hum ne bhi koi zindagi ji thi
Aslam Emadi
hawaen shahr ki aaluda-e-kasafat hain
ye saf-suthra-pan aur ye nafasaten jhuTi
Aslam Emadi
hazar raste badle hazar swang rache
magar hai raqs mein sar par ek aasman wahi
Aslam Emadi
nami utar gai dharti mein tah-ba-tah 'aslam'
bahaar-e-ashk nai rut ki ibtida mein hai
Aslam Emadi
tum mere kamre ke andar jhankne aae ho kyun
so raha hun chain se hun Thik hai sab Thik hai
Aslam Emadi
tumhaare dard se jage to un ki qadr khuli
wagarna pahle bhi apne the jism-o-jaan wahi
Aslam Emadi
unhen ye fikr ki dil ko kahan chhupa rakkhen
hamein ye shauq ki dil ka KHasara kyunkar ho
Aslam Emadi