aao to mere sahn mein ho jae raushni
muddat guzar gai hai charaghan kiye hue
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
aaj bhi naqsh hain dil par teri aahaT ke nishan
hum ne us rah se auron ko guzarne na diya
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
hosh-o-hawas khone laga hun firaq mein
tanhaiyon ne aisa muqaffal kiya mujhe
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
ek lafz yaad tha mujhe tark-e-wafa magar
bhula hua hun Thokaren khane ke baad bhi
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
sawera le ke aata hai mere KHwabon ki tabiren
magar jab sham hoti hai to un ki yaad aati hai
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
tamam din ki mashaqqat-bhari takan ke baad
tamam raat mohabbat se phir jagaun use
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
yaad rakhna bhi ek ibaadat hai
kyun na hum un ka hafiza ho jaen
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman
zindagi ki haqiqat ajab ho gai
aaj kal ho rahi hai basar KHwab mein
Ashhad Bilal Ibn-e-chaman