ai junun us ki kahani bhi sunaunga tujhe
ye jo paiwand mere chaak mein dekha gaya hai
Ashfaq Nasir
hum aaine mein tera aks dekhne ke liye
kai charagh nadi mein bahane lagte hain
Ashfaq Nasir
hum faqat teri guftugu mein nahin
har suKHan har zaban mein hum hain
Ashfaq Nasir
hijr insan ke KHad-o-KHal badal deta hai
kabhi fursat mein mujhe dekhne aana mere dost
Ashfaq Nasir
ja tujhe tere hawale kar diya
khench le ye hath phailaya hua
Ashfaq Nasir
sham Dhalne se faqat sham nahin Dhalti hai
umr Dhal jati hai jaldi palaT aana mere dost
Ashfaq Nasir
sham hoti hai to lagta hai koi ruTh gaya
aur shab us ko manane mein guzar jati hai
Ashfaq Nasir
wo jis mein lauT ke aati thi ek shahzadi
abhi talak nahin bhuli wo dastan mujh ko
Ashfaq Nasir
wo phul ho sitara ho shabnam ho jhil ho
teri kitab-e-husn ke sab iqtibas the
Ashfaq Nasir