'ashhar' kahin qarib hi tarik ghaar hai
jugnu ki raushni ko wahin chal ke chhoD den
Ashar Hashmi
meri duniya mein samundar ka kahin nam nahin
phir ghaTa phenkti hai mujh pe ye patthar kaise
Ashar Hashmi
ahguzar bhi teri pahle thi ajnabi
har gali ab teri rahguzar ho gai
Ashar Hashmi
tera ghurur jhuk ke jab mila mere wajud se
na jaane meri kamtari ka chehra kyun utar gaya
Ashar Hashmi
us se milne ki talab mein ji liye kuchh aur din
wo bhi KHud bite dinon se bar-sar-e-paikar thi
Ashar Hashmi
wahin ke pattharon se puchh mera haal-e-zindagi
main reza reza ho ke jis dayar mein bikhar gaya
Ashar Hashmi
zindagi karna wo mushkil fan hai 'ashhar' hashmi
jaise ki chalna paDe bijli ke nange tar pa
Ashar Hashmi