ila-sabab to koi barg bhi nahin hilta
tu apne aaj pe asaraat kal ke dekh zara
Arshad Kamal
kabhi un ka nahin aana KHabar ke zail mein tha
magar ab un ka aana hi tamasha ho gaya hai
Arshad Kamal
KHak-e-sahra to bahut dur hai ai wahshat-e-dil
kyun na zehnon pe jami gard uDa di jae
Arshad Kamal
mujh ko talash karte ho auron ke darmiyan
hairan ho raha hun tumhaare guman pa
Arshad Kamal
wo aae to laga gham ka mudawa ho gaya hai
magar ye kya ki gham kuchh aur gahra ho gaya hai
Arshad Kamal
wo zamane ka taghayyur ho ki mausam ka mizaj
be-zarar donon hain nairangi-e-adam ke siwa
Arshad Kamal
ye mana sail-e-ashk-e-gham nahin kuchh kam magar 'arshad'
zara utra nahin dariya ki banjar jag uThta hai
Arshad Kamal