chand mere ghar mein utra tha kahin Duba na tha
ai mere suraj abhi aana tera achchha na tha
Arif Abdul Mateen
hamin ne raston ki KHak chhani
hamin aae hain tere pas chal ke
Arif Abdul Mateen
kabhi KHayal ke rishton ko bhi TaTol ke dekh
main tujh se dur sahi tujh se kuchh juda bhi nahin
Arif Abdul Mateen
tha e'timad-e-husn se tu is qadar tahi
aaina dekhne ka tujhe hausla na tha
Arif Abdul Mateen
tira-o-tar KHalaon mein bhaTakta raha zehan
raat sahra-e-ana se main hirasan guzra
Arif Abdul Mateen
titliyan rangon ka mahshar hain kabhi socha na tha
un ko chhune par khula wo raaz jo khulta na tha!
Arif Abdul Mateen
wafa nigah ki talib hai imtihan ki nahin
wo meri ruh mein jhanke na aazmae mujhe
Arif Abdul Mateen
zat ka aaina jab dekha to hairani hui
main na tha goya koi mujh sa tha mere ru-ba-ru
Arif Abdul Mateen