ahut aasan hai mushtarka dilon mein tafriq
baat to jab hai ki bichhDon ko milaya jae
Anwar Jamal Anwar
daman pe to har ek ke chhiTen hain KHun ki
ab kis se puchhiye ki gunahgar kaun hai
Anwar Jamal Anwar
hai taqaza-e-tahzib 'anwar'
mat kaho wo ki jo munh mein aae
Anwar Jamal Anwar
hum fitratan insan hain farishte to nahin hain
dawa ye karen kaise ki laghzish nahin karte
Anwar Jamal Anwar
hum se wafa-shiar ko bhi tere ru-ba-ru
khani paDi wafa ki qasam tere shahr mein
Anwar Jamal Anwar
husn aisa ki zamane mein nahin jis ki misal
aur jamal aisa ki DhunDa kare har KHwab-o-KHayal
Anwar Jamal Anwar
kaisa maqam aaya mohabbat ki rah mein
dil ro raha hai mera magar aankh tar nahin
Anwar Jamal Anwar
ose uTh jati hai ghar mein koi diwar nai
is tarah tang hua jata hai aangan apna
Anwar Jamal Anwar
sach ye hai hum hi mohabbat ka sabaq paDh na sake
warna an-paDh to na the hum ko paDhane wale
Anwar Jamal Anwar