andheri raat hai saya to ho nahin sakta
ye kaun hai jo mere sath sath chalta hai
Anjum Khayali
aankh jhapkin to itne arse mein
jaane kitne baras guzar jaen
Anjum Khayali
azan pe qaid nahin bandish-e-namaz nahin
hamare pas to hijrat ka bhi jawaz nahin
Anjum Khayali
az wade kiye nahin jate
phir bhi un ko nibhaya jata hai
Anjum Khayali
is nam ka koi bhi nahin hai
jis nam se hum pukarte hain
Anjum Khayali
jaan qarz hai so utarte hain
hum umr kahan guzarte hain
Anjum Khayali
jab tak main pahunchta hun kaDi dhup mein chal kar
diwar ka saya pas-e-diwar na ho jae
Anjum Khayali
kahan mila main tujhe ye sawal baad ka hai
tu pahle yaad to kar kis jagah ganwaya mujhe
Anjum Khayali
koi tohmat ho mere nam chali aati hai
jaise bazar mein har ghar se gali aati hai
Anjum Khayali