aap ka koi safar be-samt be-manzil na ho
zindagi aisi na jina jis ka mustaqbil na ho
Anis Dehlavi
aap ki baaton mein aa kar kho diya dil ka sukun
zindagi mein dekhiye meri bacha kuchh bhi nahin
Anis Dehlavi
chhin lin KHushiyan meri aankhon se meri nind bhi
zindagi tu ne mujhe ab tak diya kuchh bhi nahin
Anis Dehlavi
jo dil bandhe wo jadu jaanta hai
mera mahbub urdu jaanta hai
Anis Dehlavi
kaisa ajib waqt hai koi bhi ham-safar nahin
dhup bhi mo'tabar nahin saya bhi mo'tabar nahin
Anis Dehlavi
karna hai aap ko jo nae raston ki khoj
sab jis taraf na jaen udhar jaana chahiye
Anis Dehlavi
nigah chahiye bas ahl-e-dil faqiron ki
bura bhi dekhun to mujh ko bhala nazar aae
Anis Dehlavi
pata is ka to hum rindon se puchho
KHuda ko kab ye sadhu jaanta hai
Anis Dehlavi
sahra se chale aa bhi gae dar-o-rasan tak
hona tha jinhen wo na hamare hue logo
Anis Dehlavi