aDa aazar-e-jaan hai wo agarche mehrban hai wo
agarche mehrban hai wo baDa aazar-e-jaan hai wo
Anees Ansari
ana kar rakh tu ghar achchha rahega
tu malik ban kirae-dar kyun hai
Anees Ansari
ek gham hota to sine se laga leta koi
gham ka ambar uThane pe na pahuncha aaKHi
Anees Ansari
har ek shaKHs tumhaari tarah nahin hota
koi kisi se mohabbat kahan kare kaise
Anees Ansari
hijr ke chhoTe ganw se hum ne shahr-e-wasl ko hijrat ki
shahr-e-wasl ne nind uDa kar KHwabon ko pamal kiya
Anees Ansari
hijr mein waise bhi aati hai musibat jaan par
par raqibon ki alag hai KHanda-kari hae hae
Anees Ansari
jo parinde uD nahin sakte ab un ki KHair ho
aane wala hai isi jaanib shikari hae hae
Anees Ansari
kabhi darwesh ke takiya mein bhi aa kar dekho
tang-dasti mein bhi aaram mayassar nikla
Anees Ansari
lash qatil ne khuli phenk di chaurahe par
dekhne wala koi ghar se na bahar nikla
Anees Ansari