ek darwesh ko teri KHatir
sari basti se ishq ho gaya hai
Ammar Iqbal
ek hi baat mujh mein achchhi hai
aur main bas wahi nahin karta
Ammar Iqbal
kaisa mujh ko bana diya 'ammar'
kaun sa rang bhar gae mujh mein
Ammar Iqbal
kaise kaise bana diye chehre
apni be-chehragi banate hue
Ammar Iqbal
KHud hi jaane lage the aur KHud hi
rasta rok kar khaDe hue hain
Ammar Iqbal
main aainon ko dekhe ja raha tha
ab in se baat bhi karne laga hun
Ammar Iqbal
main ne chaha tha zaKHm bhar jaen
zaKHm hi zaKHm bhar gae mujh mein
Ammar Iqbal
main ne taswir phenk di hai magar
kil diwar mein gaDi hui hai
Ammar Iqbal
us ne nasur kar liya hoga
zaKHm ko shaeri banate hue
Ammar Iqbal