dhawa bolega bahut jald KHizan ka lashkar
shaKH ko neza karun phul ko talwar karun
Alok Yadav
dilkashi thi unsiyat thi ya mohabbat ya junun
sab marahil tujh se jo mansub the achchhe lage
Alok Yadav
ek umr se tujhe main be-uzr pi raha hun
tu bhi to pyas meri ai jam pi liya ka
Alok Yadav
had-e-imkan se aage main jaana chahta hun par
abhi iman aadha hai abhi laghzish adhuri hai
Alok Yadav
husn ki dilkashi pe naz na kar
aaine bad-nazar bhi hote hain
Alok Yadav
mere liye hain musibat ye aaina-KHane
yahan zamir mera be-naqab rahta hai
Alok Yadav
mujh ko jannat ke nazare bhi nahin jachte hain
shahr-e-jaanan hi tasawwur mein basa hai saha
Alok Yadav
nai naslon ke hathon mein bhi tabinda rahega
main mil jaunga miTTi mein qalam zinda rahega
Alok Yadav
pyar ka donon pe aaKHir jurm sabit ho gaya
ye farishte aaj jannat se nikale jaenge
Alok Yadav