aarzu Tis karb tanhai
KHud mein kitna simaT gaya hun main
Akmal Imaam
'akmal' aaj ka insan kitna be-tahammul hai
dil mein kuchh KHalish ubhri aur dagh di sazish
Akmal Imaam
apne ehsas ki shiddat ko bujhane ke liye
main nai tarz ke KHush-fikr risale mangon
Akmal Imaam
fasad rokne kam-zarf log pahunche hain
gharon mein rah gae raushan zamir jitne the
Akmal Imaam
har ek harf se jine ka fan numayan ho
kuchh is tarah ki ibarat nisab mein likhiye
Akmal Imaam
mera saya bhi baDh gaya mujh se
is saliqe se ghaT gaya hun main
Akmal Imaam
nai tahqiq ne qatron se nikale dariya
hum ne dekha hai ki zarron se zamane nikle
Akmal Imaam
ungliyon ke hunar se ai 'akmal'
shakl pati hai chaak par miTTi
Akmal Imaam
zehn mein ajnabi samton ke hain paikar lekin
dil ke aaine mein sab aks purane nikle
Akmal Imaam