dekho us ne qadam qadam par sath diya begane ka
'aKHtar' jis ne ahd kiya tha tum se sath nibhane ka
Akhtar lakhnvi
hamein KHuda pe bharosa hai na-KHuda pe nahin
KHuda jo deta hai wo na-KHuda nahin deta
Akhtar lakhnvi
hasad ka rang pasandida rang hai sab ka
yahan kisi ko koi ab dua nahin deta
Akhtar lakhnvi
ek tere hi kuche par mauquf nahin hai kuchh
har gam hain taziren hum log jahan bhi hain
Akhtar lakhnvi
isi hasrat mein kaTi rah-e-hayat
koi do-chaar qadam sath chale
Akhtar lakhnvi
jazbe ki kaDi dhup ho to kya nahin mumkin
ye kis ne kaha sang pighalta hi nahin hai
Akhtar lakhnvi
KHwabida apne chahne walon ko dekh kar
mumkin hai lauT jae sahar jagte raho
Akhtar lakhnvi
kitne mahbub gharon se gae kis ko malum
wapas aae hain jo apnon mein KHabar ki surat
Akhtar lakhnvi
mai-e-kohna na sahi KHun-e-tamanna hi sahi
ek paimana mere samne laya to gaya
Akhtar lakhnvi