gham-e-wajud ka matam karun to kaise jiyun
magar KHuda tere daman pe dagh hai ki nahin
Akhlaq Ahmad Ahan
ah-e-hayat mein na mili ek pal KHushi
gham ka ye bojh dosh pe saman sa raha
Akhlaq Ahmad Ahan
asm-e-duniya ke salasil mein giraftari hai
mat Thaharna ki kahin phans jawan-tar ho jae
Akhlaq Ahmad Ahan
sitaron ki gardish dilon ka bichhaDna
ye kaise KHuda ki hai kaisi KHudai
Akhlaq Ahmad Ahan
tere firaq mein hum ne bahae ashk-e-jigar
ye sab ne chaha magar aae to lahu aae
Akhlaq Ahmad Ahan
wo jadu adaen adaon mein jadu
ye pahunchaen hum ko fana se baqa tak
Akhlaq Ahmad Ahan
ye kaisi jagah hai ki dil kho raha hai
bayaban hai sahra hai gulshan hai kya hai
Akhlaq Ahmad Ahan