aql walon mein hai guzar mera
meri diwangi sambhaal mujhe
Akhilesh Tiwari
e-sabab kuchh bhi nahin hota hai ya yun kahiye
aag lagti hai kahin par to dhuan hota hai
Akhilesh Tiwari
hansna rona pana khona marna jina pani par
paDhiye to kya kya likkha hai dariya ki peshani pa
Akhilesh Tiwari
har-dam badan ki qaid ka rona fuzul hai
mausam sadaen de to bikhar jaana chahiye
Akhilesh Tiwari
jise parchhain samjhe the haqiqat mein na paikar ho
parakhna chahiye tha aap ko us shai ko chhu kar bhi
Akhilesh Tiwari
KHayal aaya hamein bhi KHuda ki rahmat ka
sunai jab bhi paDi hai azan pinjre mein
Akhilesh Tiwari
koi to baat hai pichhle pahar mein raaton ke
ye band kamra ajab raushni se bhar jae
Akhilesh Tiwari
phislan ye kinaron pa ye Thahraw nadi ka
sab saf ishaare hain ki gahrai bahut hai
Akhilesh Tiwari
qadam baDha to lun aabaadiyon ki samt magar
mujhe wo DhunDhta tanhaiyon mein aaya to
Akhilesh Tiwari