ahut nazdik the taswir mein hum 
magar wo fasla jo dikh raha tha
Ain Irfan
as ek dhun thi samundar ko par karne ki 
main jaanta tha samundar ke par kuchh bhi na tha
Ain Irfan
e-maqsad mahfil se behtar tanhai 
be-matlab baaton se achchhi KHamoshi
Ain Irfan
gamzan hain hum musalsal ajnabi manzil ki samt 
zindagi ki aarzu mein zindagi khote hue
Ain Irfan
gharq hote jahaz dekhe hain 
sail-e-waqt-e-rawan samajhta hun
Ain Irfan
hadisa kaun sa hua pahle 
raat aai ki din Dhala pahle
Ain Irfan
ho din ki chahe raat koi masala nahin 
mere liye hayat koi masala nahin
Ain Irfan
jahan tak Dubne ka Dar hai tum ko 
chalo hum sath chalte hain wahan tak
Ain Irfan
kabhi sochun ki KHud main lauT aaun 
kabhi sochun ki aisa kyun karun main
Ain Irfan

