ziyaada pas mat aana
main wo tah-KHana hun jis mein
shikasta KHwahishon ke an-ginat aaseb baste hain
jo aadhi shab to rote hain phir aadhi raat hanste hain
meri tarikiyon mein
gum-shuda sadiyon ke gard-alud na-asuda KHwabon ke
kai ifrit baste hain
meri KHushiyon pe rote hain mere ashkon pe hanste hain
mere viran dil mein rengti hain makaDiyan gham ki
tamannaon ke kale nag shab-bhar sarsaraate hain
gunahon ke jane bichchhu
damon par apne apne Dank lade
apne apne zahr ke shoalon mein jalte hain
ye bichchhu dukh nigalte aur pachhtawe ugalte hain
ziyaada pas mat aana
main wo tah-KHana hun jis mein
koi rauzan koi khiDki nahin baqi
faqat qabren hi qabren hain
kahin aisa na ho tum bhi inhi qabron mein kho jao
inhi mein dafan ho jao
gulabi ho kahin aisa na ho tum zard ho jao
mohabbat ki hararat kho ke bilkul sard ho jao
sarapa dard ho jao
so mere sada-o-masum mujh ko ras mat aana
ziyaada pas mat aana
ziyaada pas mat aana
Nazm
Ziyaada pas mat aana
Rehman Faris