zarre zarre mein dawan ruh-o-ruwan pata hun main
zindagi ko ek bahr-e-be-karan pata hun main
ghuncha ghuncha nutq par aamada aata hai nazar
patte patte ki zaban ko naghma-KHwan pata hun main
zinda hasti ki KHabar deti hai raftar-e-nafas
bu-e-gul ko zindagi ka tarjuman pata hun main
barq ki jumbish ho ya baad-e-saba ka ho KHiram
zindagi ka har tamawwuj mein nishan pata hun main
us se aage bhi hain ruhen uDti phirti be-shumar
taer-e-sidra ka jis ja aashiyan pata hun main
ho chuki hai hukmaran jis naKHl par baad-e-KHizan
us ki rag rag mein bahaar-e-be-KHizan pata hun main
chaar-su rah-e-safar par dauDti hai jab nazar
zindagi ko karwan-dar-karwan pata hun main
jaane walon ki tabahi ke nishanon mein nihan
aane wali hastiyon ki bastiyan pata hun main
al-gharaz samjhe ho jin ko maut ki barbaadiyan
zindagi ke inqalab an mein nihan pata hun main
Nazm
Zindagi
Wahiduddin Saleem