zindagi ho gai hai be-tartib
ab Thikane pe koi chiz nahin
kuchh yahan tha
magar yahan kab hai
kuchh wahan hai
magar wahan kab hai
ab sar-e-jalwa-gah koi nahin
jo bhi hai runuma guman hi to hai
hona hone ka ek nishan hi to hai
sham mein ghul gaya hai KHwab ka rang
dil mein koi diya jale na jale
KHwab apne kamal ko pahuncha
kisi tabir mein Dhale na Dhale
aur koi hai is KHayal mein gum
lauT kar ghar chale chale na chale
jis ke iklaute sard kamre mein
zard malbus mein hai tanhai
raston ko nigal gae sae
dard ne chaT li hai binai
ab kahan hai KHayal-e-ranai
zindagi ho gai hai be-tartib
ab Thikana nahin raha koi
jis jagah hum thakan utar sakin
Nazm
Zindagi se mukalima
Faheem Shanas Kazmi