wahi faza wahi chehre KHamosh nursing-home
main so raha tha ki khiDki ke pas pipal se
nisai nuqrai aawaz haule haule uThi
baDi adaon se mere qarib aane lagi
sahar qarib thi suraj nikalne wala tha
main chahta tha ki us saut-e-nuqrai ko chhuun
magar wo lauT gai payalon ke sargam mein
damak raha tha sar-e-asman hasin suraj
ghanere patton mein chhup kar koi ye kahta tha
main wo KHayal-e-haqiqat-faroz hun jis ko
abhi 'salam' bhi manzum kar nahin pae
Nazm
Zindagi
Salam Machhli shahri