aur tufan ke baad
ukhDe gire peDon bhige tanon
subh ki marghali dhup mein sukhte sabz patton ki bu mein
main tanha chala ja raha hun
mere chaaron taraf
Tanki unchi chhaten hain patangon ki manind bikhri hui
aur lakDi ki shahtiren jaise patangon ke TuTe hue hath
aur bijli ki taren ki jaise patangon ki uljhi hui Dor
hawa nam hai
aur shahr ke chauk par gidh utar aae hain
aur ukhDi jaDon ke kinaron ki gili zamin par
phaTe bhige kapDon mein bachche
gharaunde banate hain billor ki goliyan khelte hain
Nazm
Zindagi
Mohammad Anvar Khalid