jaisi zindagi hum guzarte hain waisi maut hamein milti hai
hum buzdil aadmi ki zindagi guzarte hain
to hamein maut bhi waisi hi buzdil nasib hoti hai
hum KHubsurat zindagi jite hain
to maut bhi KHubsurat milti hai
hum mohabbat ki zindagi guzarte hain
to maut bhi mahbuba ki tarah hamein milti hai
insan ne har shai ko gadla kiya hai
har qimti aadarsh ko maila kiya hai
har lafz ko be-mani kiya hai
allah ki banai hui chizon ko masKH karne ki koshish ki hai
lekin insan maut ko gadla nahin kar saka
maila nahin kar saka
be-mani nahin kar saka
masKH nahin kar saka
maut se zyaada KHalis shai duniya mein nahin hai
is se zyaada ba-mani shai maujud nahin hai
magar main kyun aisa kah raha hun
mujhe to ek bahut hi KHubsurat zindagi basar karni hai
mohabbat se labrez
raqs karti hui zindagi
jis mein raqqas ghaeb ho jata hai
aur sirf raqs baqi rahta hai
mujhe ek behad lazzat-bhari
rasili zindagi se gale milna hai
taki meri maut bhi KHubsurat ho
Nazm
Zindagi maut ka aaina
Asghar Nadeem Sayed