main zindagi hun zindagi ye hai mera nam-o-nishan
jumbish dah-e-barg-o-samar
surat-gar-e-sham-o-sahar
jaan-o-dil-e-shams-o-qamar
saut-o-nawa-e-bahr-o-bar
hai mujh se gardish mein zamin mujh se hai daur-e-asman
main zindagi hun zindagi ye hai mera nam-o-nishan
inam ye mere liye
aish-o-tarab mere liye
hain roz-o-shab mere liye
hain ek sab mere liye
mazdur ka ho KHash-kada ya ahl-e-daulat ka makan
main zindagi hun zindagi ye hai mera nam-o-nishan
mutrib ki aawazon mein hun
chiDiyon ki parwazon mein hun
bajte hue sazon mein hun
shah-zor jaan bazu mein hun
uThte hain mere zor se tufan hon ya aandhiyan
main zindagi hun zindagi ye hai mera nam-o-nishan
himmat hai meri sifat-shikan
izzat hai mera bankpan
hai aajizi mera chalan
kya gham jo hai rah-e-mehan
hai dast-e-qudrat mein mere raKHsh-e-taraqqi ki inan
main zindagi hun zindagi ye hai mera nam-o-nishan
aadam ke dil ka raaz hun
jibril ki parwaz hun
daud ki aawaz hun
main nuh ki dam-saz hun
yusuf ne meri chah ki isa ki hun ruh-e-rawan
main zindagi hun zindagi ye hai mera nam-o-nishan
mere qadam jab DaT gae
teghon ke baadal chhaT gae
KHud sher pichhe haT gae
KHatron ke halqe kaT gae
main ne fana ke ru-ba-ru hans hans ke lin angDaiyan
main zindagi hun zindagi ye hai mera nam-o-nishan
Nazm
Zindagi
Mahshar Badayuni