samaat-e-munjamid ke malik
samaaton par jumud ho to
dinon ko hafton mein Dhaalne ka nahin koi mashghala
ba-juz ye ki wadiyon mein sada ki duri pe bajne wale
suhane sapnon ke Dhol sunna
rafu-gar-e-daman-e-tamanna
har ek dhaDkan pe dil mein ek Tis si na uTThe
har ek harakat pe aablon mein mari hui sans ji na uTThe
kisi ki aawaz-e-pa se dam toDti hui zindagi na uTThe
koi pukare koi na uTThe
to jhil-ankhon kanwal se chehron ko bhulne ka
koi tariqa nahin
ba-juz ye ki sahilon par purane sipon ke KHol chunna
rafu-gar-e-daman-e-tamanna
agar kabhi aablon ki sansen bahaal hon to
lahu se ruton ke jal bunna
samaat-e-munjamid ke malik
samaaton se jo barf sar ke
nadi ke giton ke bol sunna
Nazm
Zindagi ke giton ke bol sunna
Tanveer Monis