tamtamae hue aariz pe ye ashkon ki qatar
mujh se is darja KHafa aap se itni bezar
main ne kab teri mohabbat se kiya hai inkar
mujh ko ek lamha kabhi chain bhi aaya tujh bin
ishq hi ek haqiqat to nahin hai lekin
zindagi sirf mohabbat to nahin hai anjum
soch duniya se alag bhag ke jaenge kahan
apni jannat bhi basaen to basaenge kahan
amn is aalam-e-afkar mein paenge kahan
phir zamane se nigahon ka churana kaisa
ishq ki zid mein faraez ko bhulana kaisa
zindagi sirf mohabbat to nahin hai anjum
tir-e-iflas se kitnon ke kaleje hain figar
kitne sinon mein hai ghuTti hui aahon ka ghubar
kitne chehre nazar aate hain tabassum ka mazar
ek nazar bhul ke us samt bhi dekha hota
kuchh mohabbat ke siwa aur bhi socha hota
zindagi sirf mohabbat to nahin hai anjum
ranj-e-ghurbat ke siwa jabr ke pahlu bhi to hain
jo Tapakte nahin aankhon se wo aansu bhi to hain
zaKHm khae hue mazdur ke bazu bhi to hain
KHak aur KHun mein ghaltan hain nazare kitne
qalb-e-insan mein dahakte hain sharare kitne
zindagi sirf mohabbat to nahin hai anjum
arsa-e-dahr pe sarmaya o mehnat ki ye jang
amn o tahzib ke ruKHsar se uDta hua rang
ye hukumat ye ghulami ye baghawat ki umang
qalb-e-adam ke ye riste hue kohna nasur
apne ehsas se hai fitrat-e-insan majbur
zindagi sirf mohabbat to nahin hai anjum
aap ko band ghulami se chhuDana hai hamein
KHud mohabbat ko bhi aazad banana hai hamein
ek nai tarz pe duniya ko sajaana hai hamein
tu bhi aa waqt ke sine mein sharara ban ja
tu bhi ab arsh-e-baghawat ka sitara ban ja
zindagi sirf mohabbat to nahin hai anjum
Nazm
Zindagi
Jaan Nisar Akhtar