zindagi hamare liye kitna aasan kar di gai hai
hum kisi bhi riayati faroKHt mein
kitaben
kapDe jute
hasil kar sakte hain
jaisa ki gandum hamein imdadi qimat par muhayya ki jati hai
agar hum chahen
kisi bhi kar-KHane ke darwaze se
bachchon ke liye
rad-karda biscuit KHarid sakte hain
tamam tayyaron rail-gaDiyon bason mein hamare liye
sasti nashishten rakhi jati hain
agar hum chahen
mamuli zarurat ki qimat par
theater mein aaKHiri qatar mein baiTh sakte hain
hum kisi ko bhi yaad aa sakte hain
jab use koi aur yaad na aa raha ho
Nazm
Zindagi hamare liye kitna aasan kar di gai hai
Afzal Ahmad Syed