zindagi
itni sada bhi nahin ki ek black-and-white t-w-set
us ke rangon ka ahata kar sake
magar rangin-set bhi to shairana mubaalghe se kaam lete hain
ho sakta hai pocket-bhar hayat mein sat pocket rang
unDelne walon ki haqiqi zindagi yahi ho
ruh aur zamir ki umr-bhar ki kamai siyah rang ki puDiya hai
kisi fahisha ke badan se uDte hue lamhe ka
dhanak-bhar muawza to nahin
maherin girani aur gunah mein tanasub-e-makus nahin mante
to aao zindagi ko inhi nigetiwes mein dekhen

Nazm
Zindagi
Ghulam Mohammad Qasir