hum apni barahnagi chhupate phirte hain
aisi haalat mein taaruf ka falsafa
diwangi mein baDbaDana hota hai
bikhri chizon ke ambar mein
kis kis ka rutba yaad rakhte
hum ne marzi ki tartib bana li
KHushbu ka ehtimam kahan se karte
badbu hamein zyaada pur-tapaki se mili
hum apne hi jismon ko chhu kar KHush ho jaane wale
saDand deti chizon se safai mang rahe hain
hamare gharon ki chhaton par be-awaz barish hoti hai
hum jhulaste kamron mein
pani ke KHwab dekhne ke liye
apne bistaron se dur ja ke sote hain
hamari aankhon ke shishon mein nind nahin
maut aa ke apna chehra dekhti hai
hum wo ukhDe raste hain
jis ko gird ke pahre-daron ne hamwar nahin hone diya
hamari tawil sarguzisht mein takrar hi takrar hai
hamein sirf ek ruKH wale safhe par tahrir kiya gaya
jo apne pahle hisse se aa milta hai
Nazm
Zindagi apna faisla KHud likhegi
Qasim Yaqub