duniya mein tujh ko hai agar arman-e-zindagi
tadbir se tu bandh le paiman-e-zindagi
tab-o-tab-e-amal KHalish-e-koshish-e-dawam
un se baham pahunchta hai saman-e-zindagi
kar le rafu tu joshish-e-kirdar se ise
kyun kar raha hai chaak gareban-e-zindagi
jis zindagi mein josh-e-KHudi ka na ho KHayal
wo zindagi nahin kabhi shayan-e-zindagi
kar nuh ban ke us ka to har-dam muqabla
tufan-e-zindagi hai ye tufan-e-zindagi
mahdud tu samajhne laga hai ise magar
be-intiha wasia hai maidan-e-zindagi
Nazm
Zindagi
Amjad Najmi