main KHuda ki qabr hun
KHuda mere andar dafn hai
bhai, main ne apne hathon se dafn kiya hai use!
farq ye hai ki dafn hone ke bawajud zinda hai wo
zinda dar-gor
upar se malba haTane ki der hai
andar se KHuda nikal aaega
han han mere andar se nikal aaega
ye jo manon miTTi Dal rakkhi hai main ne us par
aqidon aur nazaryon ki
KHayalon aur wahimon ki
KHwahishon aur laghwiyat ki
agar kisi roz kisi tufan barish mein bah gai
to dekhna isi mere TuTe-phuTe badan ki ujaD qabr se
jita-jagta tar-o-taza KHuda kaise numudar ho jaega
jaise sar-ba-falak pahaDiyon ki yaKH-basta wadiyon mein
barf pighalne ke baad
dekhte hi dekhte
ta-hadd-e-nazar
phul khil uThte hain
Nazm
Zinda dar-gor
Mohammad Haneef Rame