hisar-e-tashkik toD kar tum
uTho zamin se
falak pe pahuncho
phir is jahan par nigah Dalo
KHuda-ra apna maqam samjho
shuur-e-maKHsus
jo wadiat hua hai tum ko
zara tum us se jo kaam le lo
to shor-e-shab-KHun
jo har taraf hai
ye KHud-ba-KHud hi KHamosh hoga
ye al-atash ki sada
jo har samt uTh rahi hai
tum us pe labbaik kah kar apni
furaat ka dar KHuda-ra kholo!
KHizan ki mahfil mein
rang-o-bu ke muzakre ki
sabil tum ho
tumhaare shanon pe
zimmedari hai kitni samjho!
ki munhasir hai
baqa-e-alam
faqat tumhin par
Nazm
Zimmedari
Arshad Kamal