jis ne janm ki ghuTTi chakkhi
us ko zine tai karna hain
andar bahar
niche upar
aage pichhe
zine har har or
jitna jaano
chaDh aae
utna samjho
utar chuke ho
us ne kaha
zine ajab fareb hain baba
aaj talak ye khul nahin pae
zine ye bal khate zine
janm janm ke pher
azal ghaDi se
ant samay tak
zine aprampar
us ne kaha
zina zina chaDhte jao
chaDhte jao
baam pe jab pahunchoge
to patal ki ek shab-rangi nagin
phan phailae paoge
jis ne tum ko Dasna hai
zina zina utarte jao
aur utarte jao
jab aangan mein qadam rakhoge
baam pe KHud ko paoge
us ne kaha
nafi isbaat ke
is malghube mein
kaisa chaDhna
kaisa utarna
gole ki is khinch mein baba
baam kahan
patal kahan hai
kis ko KHabar hai
zine to bas zine hain
hum ko unhen tai karna hai
Nazm
Zine to bas zine hain
Anwar Fitrat