kas bojh se jism TuTta hai
itna to kaDa safar nahin tha
wo chaar qadam ka fasla kya
phir rah se be-KHabar nahin tha
lekin ye thakan ye laDkhaDahaT
ye haal to umr bhar nahin tha
aaghaz-e-safar mein jab chale the
kab hum ne koi diya jalaya
kab ahd-e-wafa ki baat ki thi
kab hum ne koi fareb khaya
wo sham wo chandni wo KHushbu
manzil ka kise KHayal aaya
tu mahw-e-suKHan thi mujh se lekin
main soch ke jal bun raha tha
mere liye zindagi taDap thi
tere liye gham bhi qahqaha tha
ab tujh se bichhaD ke sochta hun
kuchh tu ne kaha tha! kya kaha tha
Nazm
Zer-e-lab
Ahmad Faraz