'zahra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai
haalanki dar-in-asna kya kuchh nahin dekha hai
par likkhe to kya likkhe? aur soche to kya soche?
kuchh fikr bhi mubham hai kuchh hath larazta hai
'zahra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai!
diwani nahin itni jo munh mein ho bak jae
chup-shah ka roza bhi yunhi nahin rakkha hai
buDhi bhi nahin itni is tarah wo thak jae
ab jaan ke us ne ye andaz banaya hai
har chiz bhulawe ke sanduq mein rakh di hai
aasani se jine ka achchha ye tariqa hai
'zahra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai!
ghar bar, samajhti thi, qila hai hifazat ka
dekha ki grihasti bhi miTTi ka khilauna hai
miTTi ho ki patthar ho hira ho ki moti ho
ghar-bar ke malik ka ghar-bar pe qabza hai
ehsas-e-hukumat ke izhaar ka kya kahna!
inam hai mazhab ka jo hath mein koDa hai
'zehra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai!
diwar pe Tanga tha farman rifaqat ka
kya waqt ke dariya ne diwar ko Dhaya hai
farman-e-rifaqat ki taqdis bas itni hai
ek jumbish-e-lab par hai, rishta jo azal ka hai
'zahra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai!
do beTon ko kya pala nadan ye samajhti thi
is daulat-e-duniya ki malik wahi tanha hai
par waqt ne aaina kuchh aisa dikhaya hai
taswir ka ye pahlu ab samne aaya hai
baDhte hue bachchon par khulti hui duniya hai
khulti hui duniya ka har bab tamasha hai
man bap ki surat to dekha hua naqsha hai
dekhe hue naqshe ka har rang purana hai
'zehra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai!
socha tha bahan bhai dariya hain mohabbat ke
dekha ki kabhi dariya rasta bhi badalta hai
bhai bhi giraftar-e-majburi-e-KHidmat hain
bahnon pe bhi tari hai qismat ka jo likkha hai
ek man hai jo peDon se baaten kiye jati hai
kahne ko hain das bachche aur phir bhi wo tanha hai
'zehra' ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai
Nazm
Zehra ne bahut din se kuchh bhi nahin likkha hai
Zehra Nigaah