zawal ke aasmanon mein laDkhaDate
andhere KHalaon ki duniyaon mein muallaq hote
andhere shahron ke burjon ki gumnam fasilon par girte
tashaddud se aabaad insani bastiyon ke chehron se lipaTte
aur insani wajud ki dhajjiyan dekh kar chiKHte rote
kitne hazar sal bit gae hain
kitne hazar salon se zawal ki chiKHon ko sunte sunte
saaten thak gai hain
saaten az-bas thak gai hain
jali hui ishtihaon ki qausen
zaichon ke huruf dekhte dekhte dam toD chuki hain
KHwahishon ke be-payan hujum
hasraton ki surKH mehrabon ke niche
sadiyon ki dabiz gard ke andar dhanste chale gae hain
KHakistari ayyam ki mutwarrim dhul mein
be-ant mutalahaTon ke war sahte sahte
sab kuchh madfun ho gaya hai
magar ab ye zawal ki aaKHiri chiKH hai
sahilon par parindon ke nae qafilon ka shor hai
aur baadbanon pe surKH rangon ki phaDphaDahaT
gum-gashta shahron ki be-abaad fasilon ke burjon par
hum zawal ki aaKHiri saaton ki
aaKHiri hichkiyan sun rahe hain
Nazm
Zawal ki aaKHiri hichkiyan
Tabassum Kashmiri