اردو हिंदी
Zawal ki aaKHiri chiKH | Shaahi Shayari
zawal ki aaKHiri chiKH

Nazm

Zawal ki aaKHiri chiKH

Tabassum Kashmiri

;

chhaTi bar jab main ne darwaza khola
to ek chiKH mere badan ke masamon se chimTi

badan ke andheron mein utri
mera jism us chiKH ke tund panjon se jhulsi hui

be-karan chiKH tha
main larazta hua kohna gumbad se nikla

aur chiKH mere badan se siyah ghas ki tarah nikli
badan ke karoDon masamon ke munh par

siyah chiKH ka surKH jangal uga tha
koi chiKH ab bhi ubharti thi jis se

gumbad ke diwar-o-dar kanpte the
koi shai dikhai nahin de rahi thi

faqat ek dhuan tha
jo gumbad ke suraKH se apne panw nikale

hawaon ke be-dagh sinon se chimTa hua tha
satwin bar phir main ne darwaza khola

to mere lahu ki har ek bund mein
satwin bar phir sarsaraati hui chiKH guzri

main ne dekha ki gumbad mein maili zamin par
naza ki haalat mein ek lash hai

jis ne ab satwin bar mere badan mein
satwin chiKH ka garm lawa utara

ye zawal ki aaKHiri sard chiKHon ki ek chiKH thi