jhuTpuTe ke shahr mein
beganagi ki lahr mein
madum hoti raushni ke darmiyan
zist ke panw tale aae hue
log hain ya chyunTiyan
tan badan ki rehl par
mohmal kitaben zard chehron ki khulin
manzaron ki khojti binaiyan mazur hain
yaad rakhne ki tamanna
bhulne ki aarzu
hafize ki band muTThi mein Thaharta kuchh nahin
har qadam KHwab o KHayal wasl ki lazzat liye
zat ke nile samundar mein kahin
in jaziron ki hawa mein sans lete jo muqaddar mein nahin
DhunDte hain kashtiyon ka rasta
har subh ke aKHbar mein
KHud-kalami ki saDak par dur tak
(laDkhaDate zard patton ki tarah)
kholte hain kashmakash ki gaThriyan
khulti nahin
bhigte hain tez barish mein nadamat ki magar
ruh ki aaludgi dhulti nahin
Nazm
Zawal ke aaine mein zinda aks
Saeed Ahmad