kal talak jo dharti par
sar-buland parcham tha
aaftab ki surat
rang jis ke chehre ka
dur tak chamakta tha
aaj us se lipTi hain
TiDDiyan hawaon ki
surKHiyon ke shoalon ko
le rahi hain narghe mein
badliyan fazaon ki
'marx'-ji ke putle par
baiTha kala kawwa ek
beat karne wala hai
pas hi mein nara ek
inqalab zindabaad
gunjta hai rah rah kar
Nazm
Zawal
Ghazanfar