qalb o nazar ki zindagi dasht mein subh ka saman
chashma-e-aftab se nur ki naddiyan rawan!
husn-e-azal ki hai numud chaak hai parda-e-wajud
dil ke liye hazar sud ek nigah ka ziyan!
surKH o kabud badliyan chhoD gaya sahab-e-shab!
koh-e-izam ko de gaya rang-ba-rang tailisan!
gard se pak hai hawa barg-e-naKHil dhul gae
reg-e-nawah-e-kazima narm hai misl-e-parniyan
aag bujhi hui idhar, TuTi hui tanab udhar
kya KHabar is maqam se guzre hain kitne karwan
aai sada-e-jibrail tera maqam hai yahi
ahl-e-firaq ke liye aish-e-dawam hai yahi
kis se kahun ki zahr hai mere liye mai-e-hayat
kohna hai baz-e-kainat taza hain mere wardat!
kya nahin aur ghaznawi kargah-e-hayat mein
baiThe hain kab se muntazir ahl-e-haram ke somnat!
zikr-e-arab ke soz mein, fikr-e-ajam ke saz mein
ne arabi mushahidat, ne ajami taKHaiyyulat
qafila-e-hijaz mein ek husain bhi nahin
garche hai tab-dar abhi gesu-e-dajla-o-furaat!
aql o dil o nigah ka murshid-e-awwalin hai ishq
ishq na ho to shar-o-din butkada-e-tasawwuraat!
sidq-e-KHalil bhi hai ishq sabr-e-husain bhi hai ishq!
marka-e-wajud mein badr o hunain bhi hai ishq!
aaya-e-kaenat ka mani-e-der-yab tu!
nikle teri talash mein qafila-ha-e-rang-o-bu!
jalwatiyan-e-madrasa kor-nigah o murda-zauq
jalwatyan-e-maikada kam-talab o tahi-kadu!
main ki meri ghazal mein hai aatish-e-rafta ka suragh
meri tamam sarguzisht khoe huon ki justuju!
baad-e-saba ki mauj se nash-o-numa-e-KHar-o-KHas!
mere nafas ki mauj se nashw-o-numa-e-arzu!
KHun-e-dil o jigar se hai meri nawa ki parwarish
hai rag-e-saz mein rawan sahib-e-saz ka lahu!
fursat-e-kashmukash mein in dil be-qarar ra
yak do shikan zyaada kun gesu-e-tabdar ra
lauh bhi tu, qalam bhi tu, tera wajud al-kitab!
gumbad-e-abgina-rang tere muhit mein habab!
aalam-e-ab-o-KHak mein tere zuhur se farogh
zarra-e-reg ko diya tu ne tulu-e-aftab!
shaukat-e-sanjar-o-salim tere jalal ki numud!
faqr-e-'juned'-o-'bayazid' tera jamal be-naqab!
shauq tera agar na ho meri namaz ka imam
mera qayam bhi hijab! mera sujud bhi hijab!
teri nigah-e-naz se donon murad pa gae
aql, ghayab o justuju ishq, huzur o iztirab!
tira-o-tar hai jahan gardish-e-aftab se!
tab-e-zamana taza kar jalwa-e-be-hijab se!
teri nazar mein hain tamam mere guzishta roz o shab
mujh ko KHabar na thi ki hai ilm-e-naKHil be-rutab!
taza mere zamir mein marka-e-kuhan hua!
ishq tamam mustafa! aql tamam bu-lahab!
gah ba-hila mi-barad, gah ba-zor mi-kashad
ishq ki ibtida ajab ishq ki intiha ajab!
aalam-e-soz-o-saz mein wasl se baDh ke hai firaq
wasl mein marg-e-arzu! hijr mein lazzat-e-talab!
ain-e-visal mein mujhe hausla-e-nazar na tha
garche bahana-ju rahi meri nigah-e-be-adab!
garmi-e-arzu firaq! shorish-e-ha-o-hu firaq!
mauj ki justuju firaq! qatre ki aabru firaq!
Nazm
Zauq o shauq
Allama Iqbal