is qadar hum se gurezan kyun ho
kuchh nahin hum hain faqat aks-e-KHayal
ek taswir ka dhundla sa nishan
harf-o-mani ke pur-asrar tasalsul mein kahin
an-kahi baat ka ehsas-e-ziyan
ajnabi shahar mein chalte chalte rasta hath pakaD le to ruko
jis tarah tez hawa aa ke dariche pe kabhi
dastaken deti hai chup chap palaT jati hai
aur guzargah-e-samaat mein faqat gunjte hain
us ke qadmon ke nishan
jo yaqin hain na guman
kisi ek lamha-e-guzran ki haqiqat kya hai
kar-e-ulfat bhi agar kar-e-aziyyat hai to phir
aaKHir is kar-e-aziyyat ki zarurat kya hai
Nazm
Zarurat kya hai
Shaheen Mufti