اردو हिंदी
Zarf | Shaahi Shayari
zarf

Nazm

Zarf

Nazish Kashmiri

;

nashsha-e-bada ka KHamyaza tan-o-jaan ka KHumar
dard ang ang ka aankhon ki jalan dil ka azab

ai ki tu baada-e-sar-josh ka mutamanni hai
tu ne socha hai kabhi apni tamanna ka maal

main ki is karb-e-qayamat se hun aagah mujhe
peshkash jam ki karte hue KHauf aata hai

tere aasab pe ye bar-e-mabaada ho garan is darja
farsh-e-hasti pe bikhar jae to TukDe ho kar

jam hazir hai ki main aur mera mashrab-e-KHas
buKHl se ek bhi pahlu se nahin hai mansub

han magar jam uThana hai to tu soch zarur
zarf-e-mai-KHwar se qaem hai waqar-e-mai-KHwar