ye kis ke qadmon ki chap aai kaun aaya
ye baam-o-dar ab jo KHasta-jaan hain
ye chaunk uTThe
aur yas-o-hasrat se shakl hum sab ki tak rahe hain
daraD apne jigar ki le kar karb ki shiddat
ko sah kar nile se paD gae hain
kisi ke hathon ke lams ko taras rahe hain
nami ko aankhon mein DabDabae sehn ke raste ubur kar ke
isi sutun ke shikasta sae mein
sar jhukae guzishta yaadon mein kho gai hun
wahi sutun jo thake thake se
malul hain aur shigaf-e-tanhai se surKH inTen
zaKHm ki manind jhankte hain aur ris rahe hain
jise chameli ki zard bahen laga ke sine se
kah rahi hain dukhon ko tere main jaanti hun
tujhi mein to jazb ho chuki hun
wo palken KHwabon se uljhi uljhi wo surKH joDe mein sahmi sahmi
basi hina mein larazti bahen teri hi gardan mein thin hamail
tumhin ne jis ko widaa kiya tha wo dur ja kar ek aisi basti mein bas gai hai
jahan koi ham-zaban nahin hai
munDer par ki nahif belen
chaaron jaanib ko dekhti hain wo kaise bolen ki un ke lab pe
sukut-e-paiham ki mohren si lagi hui hain
magar dua ek faza mein gunji
ki tu jahan hai wahin khile tu
bala se daman hai mera KHali
nahin mayassar jo bund ek bhi!
Nazm
Zard-chameli
Sufia Anjum Taj