ye kya zarb-e-paiham si 
har dam hai sine pe mere 
kabhi zarb ulTi lagi ya 
meri pusht KHud zarb-e-paiham se ulTi 
tu phir riDh ki haDDiyan meri chTKHin 
ki sarhad pe jun ek masum bachche ki haDDi 
mujahid ke buTon ki zad mein paDi charmaraati rahi ho 
to kya zarb-e-paiham se pichha chhuDana bhi mumkin nahin hai? 
nahin hai to kya main bhi sikhun 
wahi zarb-e-paiham ki sari adaen? 
ki ye zarb-e-paiham muqabil kabhi zarb-e-paiham ke aae 
ye mumkin hai ifham-o-tafhim ki koi surat bhi nikle 
koi sur mohabbat ka phuTe, faza gungunae
        Nazm
Zarb-e-paiham
Kausar Mazhari

