ek nae daur ki tartib ke saman honge 
dast-e-jamhur mein shahon ke gireban honge 
barq KHud apni tajalli ki muhafiz hogi! 
phul KHud apni latafat ke gireban honge 
naghma-o-sher ka sailab umaD aaega 
waqt ke sehr se ghunche bhi ghazal-KHwan honge 
naw manjdhaar se be-KHauf-o-KHatar khelegi 
naKHuda barbat-e-tufan pe rajaz-KHwan honge 
rah-rau apni masafat ka sila mangenge 
rahnuma apni siyasat pe pasheman honge 
rast-guftar ki hain naqid-e-aulad-e-farang 
waqt kahta hai ki phir daKHil-e-zindan honge 
tu kahan jaegi kuchh apna Thikana kar le 
hum to kal KHwab-e-adam mein shab-e-hijran honge
        Nazm
Zara sabr!
Shorish kashmiri

